इंसान, इंसान से घबरा रहा
धमाकों की गूँज से ज़र्रा ज़र्रा थर्राह रहा
यह देख भारत माँ का दिल कराह रहा
देख आज इंसान, इंसान से घबरा रहा
कहीं रहीम को रुला, वह "हे राम" का नारा लगा रहा
राम को मौत की नींद सुला कोई "रहीम का बंदा" कहला रहा
देख आज इंसान इंसानियत को भुला रहा
कोई हरी पताका, कोई भगवा ध्वज फहरा रहा
गली गलियारों, चौक चौबारों में रंग लाल बह रहा
देख आज इंसान ख़ुद को विधाता कह रहा
भाषा धर्म के नाम पर इंसान बरगला रहा
और सत्ता का लोभी वह हैवान बेखौफ हंस रहा
देख आज इंसान , इंसान का तमाशा बना रहा
गरीब और गरीब, और अमीर, अमीर होता जा रहा
आम ज़िन्दगी से नेता और नेता से आम इंसान कतरा रहा
देख कैसे आज इंसान, इंसान से घबरा रहा
जो इस धरती पर जन्मा, गुणगान कहीं और के कर रहा
यह देख मेरी माँ का दिल पसीज पसीज कर रो रहा
देख आज इंसान मिटटी से बेगाना हो रहा
खून के कतरों, मांस के चीथ्रों में वोट बीन रहा
सुरक्षा की तोप और मवेशी के चारे में नोट गिन रहा
कितना नीचे देख , आज इंसान गिरा जा रहा
तमाशबीन न तुम, तमाशबीन न मैं
तमाशा है ख़ुद, हर वह इंसान
जो हाथ पर हाथ धरे यह तमाशा देखे जा रहा
Friday, August 29, 2008
Wednesday, August 27, 2008
Insaan, Insaan se ghabra raha
Dhamaakon ki goonj se, zarra zarra tharraah raha
Yeh dekh Bharat Maa ka dil karaah raha
Dekh aaj insaan, insaan se ghabra raha
Kahin Rahim ko rula, wah "He Ram" ka naara laga raha
Ram ko maut ki neend sula, koi "Rahim ka banda" kehla raha
Dekh aaj insaan, insaaniyat ko bhula raha
Koi hari pataaka, koi bhagwa dhwaj fehra raha
Gali Galiyaaron, Chauk Chaubaron mein rang laal beh raha
Dekh aaj insaan, khud ko vidhaata kehla raha
Bhaasha Dharm ke naam par, insaan bargala raha
Aur satta ka lobhi wah haiwaan, bekhauf hans raha
Dekh aaj insaan, insaan ka tamasha bana raha
Gareeb aur gareeb, aur ameer, ameer hota ja raha
Aam zindagi se neta aur neta se aam insaan katra raha
Dekh kaise aaj insaan, insaan se ghabra raha
Jo is dharti par janma, gungaan kahin aur ke kar raha
Yeh dekh meri Maa ka dil, paseej paseej kar ro raha
Dekh aaj insaan, mitti se begaana ho raha
Khoon ke katron, Maans ke cheethron mein, vote been raha
Suraksha ki tope aur maweshi ke chaare mein, note gin raha
Kitna neeche dekh, aaj insaan gira ja raha
Tamaashbeen na tum, Tamaashbeen na main
Tamaasha hai khud, Har wah insaan
Jo haath par haath dhare yeh tamaasha dekhe ja raha
Le dekh aaj insaan, insaan se ghabra raha

Labels:
My Creations,
Reflections
Subscribe to:
Posts (Atom)